Sunday, November 8, 2009

Jis Par Mujhe Zaroorat Se Zayada Gumaan tha

Jis Par Mujhe Zaroorat Se Zayada Gumaan tha

Dil us shkhas ka bahut Be-Imaan tha. Bikhra hua padha tha

ek saya uske paas Koi Aznabi Nahi wo Mera Armaan tha

.kahkaho'n me Bazm ke dab gai siski meri

Maamooli thi hasti meri bahut chota nishaan tha

.Khush tha jise main phoonk kar mazhabi junoon me

baad me maalom hua wo mera makaan tha

Dosto'n ne nibhaai dosti bhi kis jagah

door zindgai se chaar kadam shamshaan tha

Bhook ka koi 'Deepak'Mazhab kahi'n hota nahi

Qafir ke saath khaa gaya jo musalmaan tha.

No comments:

Post a Comment