Saturday, July 31, 2010

mahbbat

Rehnewalon Se Nahi,
Jaanewalon Se Pucho
Ki Zindgi Kya Cheez Hoti Hai.

Panewalon Se Nahi,
Khonewalon se Pucho
Ki Izzat Kya Cheez Hoti hai.

Amiron Ko Kya Dekthe Ho,
Zara Garibon Se Pucho
Ki Daulat Kya Cheez Hoti Hai,

Arre Jiss Ne Dil Diya Hai Usse Nahi,
Jiska Dil Toota Hai Usse Pucho
Ki Mohabbat Kya Cheez Hoti Hai.

Chand

Zaroor kisi ne DIL se pukara hoga,
Ek bar to chand ne bhi aapko nihara hoga.
Mayus ho gaya hoga aasma ke tare bhi us din,
jab zami par aapko khuda ne utara hoga?

namm hamara ho

phulo ke chaman me ek gul hamara ho,

yaadon ki mehfil me ek pal hamara ho,


khuda kare jab aap mohabbat bhare khat likhen,

to unpe bhi ek naam hamara ho!

apne

waqt badalta hai zindagi ke saath,
zindagi badalti hai mohabbat ke saath
mohabbat nahi badalti apno ka saath
bas apne badal jate hai waqt ke saath.”

Prem

Prem Parichay Ko Pehchan Bana Deta Hai,
Prem Registaan Ko Gulistaan Bana Deta Hai,
Main Apni Aap-beeti Kehta Hoon Gairon Ki Nahin,
Prem Insaan Ko Bhagwaan Bana Deta Hai

Saturday, July 17, 2010

sharab

Nasha Sharab mein hota hai jhukhna bottle ko padta hai,
ishq toh ankhe karti hai par tadapna dil ko padta hai………..

saquee

“Mujh Tak Kab Unki Bazm Mein Aata Tha Daur-e-Jaam”
“Saaqee Ne Kuch Mila Na Diya Ho Sharaab Mein

mohabbat

Humko to duniya main koi bewafa na mila..
kami jo paayi to apni mohobbat main paayi..

galib

Hui muddat ki Ghalib mar gaya par yaad aata hai....
Woh har ek baat pe kehna ke yoon hota to kya hota.....

shyar

wo mere dil ko kuchal ke chala gaya
anjane me muzko wo shayar bana gaya

mohabbat

kuchh tabiiyat hii milii thi aisii
cha'in se jeene ki suurat na huii
jisko chaaha usey apnaa na sakey
jo milaa uss se mohabbat na huii

jafer ki shayri

lagta nahin hai ji mera ujde diyaar mein
kiski bani hai aalam-e-napaayedaar mein

bulbul ko pasbaa(n) se na sayiyaad se gila
kismat mein qaid thi likhii fasal-e-bahaar mein

keh do in hasraton se kahin aur ja basen
itni jagah kahan hai dil-e-daagdaar mein

ik shaakh-e-gul pe baith ke bulbul hai shaadmaa(n)
kaante bichhaa diye hain dil-e-laalajaar mein

umar-e-daraaz maang ke laaye the chaar din
do aarzoo mein kat gaye do intezaar mein

hai kitna badnaseeb "jafar" dafn ke liye
do gaj zameen bhi na mili ku-e-yaar mein